Ek jism mein shaamil aur kitne wajud karein
Har ek pal mein apni hasti aur kahaan maojud karein
qasd-e-zindagi to kabhi ehsaas-e-hayat ko dhoonda
mile koi chaak-e-qabaa jinko hum bhi sujud karein
raah-e-nusrat mein fahli hai kuchle huye armaan-o-sar
humne to chalna chhod diya, karna jo ma'abud karein
Har rooh nangi sahi har chahra ba-hijaab hai
asal ki parwah na hai to phir kyun jama sood karein
raah-e-jahaan kab badli hai justju-e-Aseer se
aao chhode raah-e-fasaadi, aao ke iski taabud karein
some typical urdu words I used are
qasd= maqsad, aim
qabaa= long dress, especially black
nusrat= kaamyaabi, success
ma'abud= ilahi, God
sood= interest, byaj
raah-e-fasaadi= rebel ways
Aseer= Qaidi, prisoner
taabud= servitude
Wednesday, 7 May 2008
Subscribe to:
Posts (Atom)