Sunday, 23 January 2011

bakhsh do

zubaan ko rawaangi bakhsh do
humko deewangi bakhsh do

paayenge manzil zarur hum
qadam ko aawargi bakhsh do

karenge na shikayat ab hum
dilko afsurdagi bakhsh do

laut jayenge tere dar se
chahat ko naraazgi bakhsh do

tumpe bhi mar mitenge hum
seerat ko saadgi bakhsh do

ehsaan tera hoga mujhpar
Faiz ko zindagi bakhsh do

Friday, 21 January 2011

kuchh bhi nahi

nayi khabar kuchh bhi nahi
qaabil e nazar kuchh bhi nahi

khokhle jismon ki hai mahfil
insaan ke andar kuchh bhi nahi

qataah:
waqt karein hum kyun barbaad
seep me gauhar kuchh bhi nahi

yun hi ho chale hum fida
ishq ka asar kuchh bhi nahi

qurbat e khuda maang lo
jannat me kausar kuchh bhi nahi

humko wo samjhe hain paagal
deewano ki qadar kuchh bhi nahi

guftagu hogi zameer se
roz-e-hashar kuchh bhi nahi

milti hai manzil shiddat se
raah purkhatar kuchh bhi nahi

chahat me teri sar na jhukaya
bazm me wo dar kuchh bhi nahi

wohi dar-o-deewar wohi insaan
makaan hai,ghar kuchh bhi nahi

unko bhi hai parwah Faiz ki
bas unko khabar kuchh bhi nahi

Wednesday, 5 January 2011

Qatra Qatra

dilse hoke jaan me utra qatra qatra
pyaas meri badhata gaya qatra qatra

wo zahar tha ya aab-e-hayaat kaun jaane
wo pilate gaye, main peeta gaya qatra qatra

kya kul chaman me koi na raha hosh mein?
ek hum kyun, har koi peeta raha qatra qatra

guzre honge woh ku-e-bahaar-o-chaman se
rang har kali pe aata gaya qatra qatra

husn-e-roo-e-jana ka asar to dekhiye
Faiz ghazalkhaar banta gaya qatra qatra