Monday, 3 February 2014

Is afsane ka gar ishq hi naam hota

Is afsane ka gar ishq hi naam hota
Betaab umango ko tasalli o araam hota

Hote namuraad bas na hote yun bewajood
Jazbon ka mera fir bhi ehteraam hota

Shaq hota hai kabhi apne iradon pe bhi
Hota gar ishq e afzal, yun na nakaam hota

Seekha nahi tareeqe se muhabbat karna
Kucha e ishq me fir main bhi badnaam hota

Dekha gaur se har ek mazhab ke qitaab
Kahin ek toote dilko ek paighaam hota

Bekhatah wo nahi,hum bhi to junoon se faarig
Duniya me aur koi layak e inteqaam hota

Jab chali gayi hai khwahish e jannat bhi
Na Socho akhiraat me kya Faiz ka maqaam hota