Friday, 28 March 2008

Ghazal

yaqeen ban gaya hai jab tijarat ka ik samaan
ay dil kahin aur chal ke hai tu ab bhi nadaan

har fakr tut gaya har garur jhootha paya
ab karte hain doston ke bedili pe hi gumaan

waqif hoon khoob haqiqat-e-ranayee se main
koi to par bahlaye ke zakhm bharna hai asaan

is ikhtesaar-e-khatirdari se jab mujarrab hai tu
phir kyun is mahfil se aaj Aseer hai hairaan

ab jab aankhein benoor hai nashaad hai ye rooh
ab sab parda uth chuka hai, benaqaab hai insaan

No comments: