meri nigaah e shauq kul beasar to nahi
gaafil wo sahi,hum bhi muassar to nahi
royenge aur wo bhi boot e sangdil pe
neemimaan sahi magar is qadar to nahi
kaise laayein hum unpar qatl ka ilzaam
unki nigaah duniyabi khanjar to nahi
piyenge ab kabhi na us nigaah se
aur jo ho,wo saaqi e kausar to nahi
inkaar hi sahi,ruswai to zaruri na thi
marte araam se,bante yun khabar to nahi
khud apne qaari e haal hone se rote ho kyun Faiz
haal majnoon tha tumse bahtar to nahi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
1 comment:
Beautiful.......... isse zyada kuchh nahi kah sakte :)
Post a Comment