Monday, 9 February 2009

Do Dil, my personal choice

Shama to jalti hai bas humein lubhane ke liye
Ek munasib raasta chahiye is deewaane ke liye

Barsonse iqraar ki tamanna dil mein chipaye baithen hain
Koi to bahana mil jaye unko yeh batane ke liye

Unko bhi yeh ehsaas hai phir bhi anjaan banke rahte hain
Unko achcha mila hai mawka humko satane ke liye

Paikaan-e-ishq liye kare intezaar woh,yeh kaise sahein
Hum hi khade hue jab koi na mila nishane ke liye

Koi saqi tanha rahe is mahfil mein mere hote
Nashemand bane hi us saaqi-e-maikhane ke liye

Dilke ye baatein kab tak dil mein liye phirega ,aye Faiz
Koi to mile hamraaz yeh raaz-e-dil sunane ke liye

1 comment:

Anonymous said...

Dard Ishq-e-ibadat me milti hi hai humesha
kash koi to hota is sach ko jhuthlane k liye ...

mind blowing sirjee
w8ing for more .....