zaroori nahin ki zindagi gham men bitayi jaaye
zaroori nahin ki zindagi ro ro ke bitayi jaaye
zaroori nahin ki kisi ko pyaar kiya jaaye
zaroori nahin ki pyaar ko ehsaan kaha jaaye
zaroori nahin ki dil tootne par raahen band ho jaayen
zaroori nahin ki aansuon ke raaste dard nikal jaaye
zaroori nahin ki chahat ko nafrat men badla jaaye
zaroori nahin ki chahat ke liye lafz chune jaayen
zaroori nahin ki har pal intezaar kiya jaaye
zaroori nahin ki raat hamesha chandni ki ho
zaroori nahin ki khwahish hamesha dilkashi ki ho
zaroori nahin ki rut sada basant ki rahe
zaroori nahin ki har saawan men dil khilen
zaroori nahin ki har raat andheri hi ho
zaroori nahin ki har aankh men roshni ho
zaroori nahin ki kisi ko hamraaz banaya jaaye
zaroori to hai ye sochna ki zindagi kaise bitaayi jaaye
ek khushi ke peechhe sau dukh bhi laati hai zindagi
par har andheri raat ke baad ek roshan subah bhi laati hai zindagi
mana ki aansuon se rulaati hai zindagi
par jeene ke kuchh maqsad bhi sikhati hai zindagi
kuchh kho gaya to zindagi khatam nahin hoti
kuchh paane ka hausla dilaati hai zindagi
ehsaas ko lafzon men bayaan karke kya karoge?
ehsaas ko rooh se milaati hai zindagi
kabhi kho na jao tum bhatak kar raah pe
manzil tumhen baar baar yaad dilati hai zindagi
lafzon ke her pher men ham ulajhte nahin hain Faiz
bas chale aao is paar ki bulaati hai zindagi
No comments:
Post a Comment