Thursday 26 May 2011

I shall be free

Who am I?by divine decree
The day i find out, I shall be free

I came to the world n lived like they said
I have to do the same till i fade
But why can not I ever disagree
The day I find out I shall be free

I eat I breathe I leave predecessors
Like I was left by my ancestors
Why this drama since Adam went to the tree
The day I find out, I shall be free

Same old faiths and same old desire
Same hoping heart we all carry to fire
Be a fool,till which degree
The day I find out I shall be free

Fir Wohi Masti

fir wohi masti me qaaynaat tamaam hai
saamne fir wohi saaqi hai fir wohi jaam hai

killat e alfaaz kabhi banne na de sukhanwar hume
nahi to unki bazm e khaas me apna bhi ek makaam hai

is nigaah se pilaye wo aur hum kare inkaar
wais,suno,is may se inkaar hi haraam hai

wo hain gaafil aur hum hai purummeed
uriyaan jazbon ka ishq hi ihtiraam hai

ye hai raah e ishq,yahan sabko milta nahi Faiz
kisine soch kar rakha shayad tera ye naam hai

Uriyaan= Naked
Faiz= Winner/succesful

Sunday 23 January 2011

bakhsh do

zubaan ko rawaangi bakhsh do
humko deewangi bakhsh do

paayenge manzil zarur hum
qadam ko aawargi bakhsh do

karenge na shikayat ab hum
dilko afsurdagi bakhsh do

laut jayenge tere dar se
chahat ko naraazgi bakhsh do

tumpe bhi mar mitenge hum
seerat ko saadgi bakhsh do

ehsaan tera hoga mujhpar
Faiz ko zindagi bakhsh do

Friday 21 January 2011

kuchh bhi nahi

nayi khabar kuchh bhi nahi
qaabil e nazar kuchh bhi nahi

khokhle jismon ki hai mahfil
insaan ke andar kuchh bhi nahi

qataah:
waqt karein hum kyun barbaad
seep me gauhar kuchh bhi nahi

yun hi ho chale hum fida
ishq ka asar kuchh bhi nahi

qurbat e khuda maang lo
jannat me kausar kuchh bhi nahi

humko wo samjhe hain paagal
deewano ki qadar kuchh bhi nahi

guftagu hogi zameer se
roz-e-hashar kuchh bhi nahi

milti hai manzil shiddat se
raah purkhatar kuchh bhi nahi

chahat me teri sar na jhukaya
bazm me wo dar kuchh bhi nahi

wohi dar-o-deewar wohi insaan
makaan hai,ghar kuchh bhi nahi

unko bhi hai parwah Faiz ki
bas unko khabar kuchh bhi nahi

Wednesday 5 January 2011

Qatra Qatra

dilse hoke jaan me utra qatra qatra
pyaas meri badhata gaya qatra qatra

wo zahar tha ya aab-e-hayaat kaun jaane
wo pilate gaye, main peeta gaya qatra qatra

kya kul chaman me koi na raha hosh mein?
ek hum kyun, har koi peeta raha qatra qatra

guzre honge woh ku-e-bahaar-o-chaman se
rang har kali pe aata gaya qatra qatra

husn-e-roo-e-jana ka asar to dekhiye
Faiz ghazalkhaar banta gaya qatra qatra