Wednesday 30 September 2009

bikhre ehsaas

duboya khud hi jab zindagi gham me
kya shikayat karein pyar karnewalon ki
bade shiddat se chaha tumne mujhe
main naqaabil bhul baitha daromdaar ko
samajh baitha tumhare pyaar ko haq apna
na kar saka main wafa,
ab wo jahannum kaisi hogi jise zindagi kahte hain log
tumhare muskan se jo lagti thi jannat kabhi
na haqdaar hoon mwaafi maanghe ki
na sar hi utha sakta hoon, na nazar hi mila sakta hoon
na jane kya kahke samjhaoon tumko
na jane kya kahke samjhaoon khudko
ek bhul se hui zindagi tabah
ek phoolse hui thi zindagi tabassum
ab rone se bhi awaz nahi aati
chhin liye ho tum zindagi tarannum
kahan se laoon kisko bataoon
koi mila de mujhe fir se wo muhabbat masoom
ya ilahi, maut se darrta nahi hoon main,
maut ke aane se khauf hai mujhe
gham mujhko akele sahne do

No comments: