Saturday 13 February 2010

Ab Aur

Kaafi nahin yaadein tere zindagi ko ab aur
Socha hai ke dhundenge ab jeene ka sabab aur

Manga tujhe shiddatse mujhe dikha jo bhi dar
Koi dikhaye mujhe naya darbaar-e-rab aur

Aawargi badnamiyat deewanapan wahshat
Tum na mile,mil gaya sila-e-wafa sab aur

Wo khuda kya,jo ishq o husn ko na milaye
Aaye koi,pesh kare aashiq ka mazhab aur

Jaag dil-e-nadaan,tujhe ab kiska wahm hai
Saamne wo hain, ro de na to royega tu kab aur

7 comments:

Beenhere said...

bahot dino ke baad kuchh padhne ko mila, achha laga

Beenhere said...

kaafi nahin yaaden teri zindagi ko ab aur
Socha hai ke dhundhenge ab jeene ka sabab aur

(Jis raah pe chale ham yaadon ka kaarwaan hai
inko mita ke jana mumkin magar kahan hai?)

Manga tujhe shiddatse mujhe dikha jo bhi dar
Koi dikhaye mujhe naya darbaar-e-rab aur

(Zaroori nahin har ek dar se tujhko sada mile
Mumkin nahi ki sab nibhaden saath zindagi bhar)

Aawargi badnamiyat deewanapan wahshat
Tum na mile, mil gaya sila-e-wafa aur

(Ishq hai naam is kahani ka jiska unwaan tumne dekha hai
Ab ho anjaam chahe jo kuchh bhi, dil to ab beshumaar tootenge)

Beenhere said...

Wo khuda kya, jo ishq o husn ko na milaye
Aaye koi, pesh kare aashiq ka mazhab aur

(Mazhab-e-ishq hai kya ek baar khud se ye poochho
iske hamraah kabhi isko badla nahi karte)

jaag dil-e-nadaan, tujhe ab kiska waham hai
Saamne wo hain, ro de na to royega tu kab aur

(Wo saamne hi rahen, ya wo rahen chhup ke parde men
Agar dil men hai unka noor to bhatakna namumkin hai)

I hope aap ise samajh gaye honge.

Sunil Balani said...

acha hai ...Faiz bhai....

Anonymous said...

Dard o Bekarariya rahin hain Ishq Ki nematein humesha
Aye Khuda ab to de Anjaam-e-muhabbat Kuch aur

Gr8 one faiz Bro ...U made it I am toooooooo Happy ..
Ab to humesha aapki sher ko gazal banwaaunga hehhhehe

lonesome.wanderer said...

Thanx to Sunil ji Beenish and Alok for the appreciation.

satyarafi said...

Umda, aur alok bhai ka comment bhi jabardast