Thursday 30 December 2010

kabhi kabhi

aankhon ne mere unko diye shabaab kabhi kabhi
patjhadne khilaya tanha gulaab kabhi kabhi

naqaabil hoon par yun na gairat se dekhiye
boondon se bhi aata hai sailaab kabhi kabhi

minnat-e-chakor jab had se guzar gayi
zameen pe bhi aata hai wo mahtaab kabhi kabhi

humne mana ke jahannam dekha nahi koi
unki furqat dikha gayi ye azaab kabhi kabhi

sunne ko jab koi na mila haal-e-bisaat-e-yaar
khamosh ajnabi diye hain jawaab kabhi kabhi

har pal kyun betaab hai ay baaghi-dil Faiz
aata hai duniya me inqilaab kabhi kabhi

No comments: